hai nahīñ koī nāḳhudā dil kā
dil hī hai ek aasrā dil kā
chār-sū be-ḳhudī meñ phirtā hai
kuchh Thikānā nahīñ rahā dil kā
rasm-e-duniyā ko kyuuñ ye mānegā
hai alag jag se qā.eda dil kā
sheḳh-o-panDit ko koī samjhā.e
rab se rahtā hai rābta dil kā
rāh-e-insāniyat hī avval hai
hai yaqīnan ye falsafa dil kā
do-jahāñ bhī yahāñ samā jaa.eñ
kitnā phailā hai dā.era dil kā
lab talak aa ke baat hī badlī
kyā kare lafz tarjuma dil kā
aql kab aa.egī tumheñ 'monā'
mānte kyuuñ ho tum kahā dil kā