Mujeeb Khairabadi

misl-e-abr-e-karam hum jahan bhi gae dasht ke dasht gulzar bante gae

Mujeeb Khairabadi

misl-e-abr-e-karam ham jahāñ bhī ga.e dasht ke dasht gulzār bante ga.e
zard chehre the jhulse hue dhuup se tāzgī pā ke gulnār bante ga.e
jitnā bahtā gayā zindagī kā lahū aur hote ga.e hausle surḳh-rū
sahl hotī ga.ī manzil-e-justujū rāste aur hamvār bante ga.e
kuchh safar kī thakan se badan chor thā kuchh zamīñ saḳht thī āsmāñ duur thā
kuchh tirī zulf ke saa.e bhī the ghane phir yahī saa.e dīvār bante ga.e
laakh āvāra o ābla-pā sahī manzileñ to haiñ qadmoñ se lipTī huī
vo hamīñ haiñ ki jab dhun samā.ī kabhī barq-pā nūr-e-raftār bante ga.e
avval avval thiiñ rāheñ baḌī pur-ḳhatar kaun thā juz ġham-e-dil sharīk-e-safar
phir jo paḌne lagī manziloñ par nazar dost dushman sabhī yaar bante ga.e
ham bhī Thahre 'mujīb' ek shorīda-sar jab na paayā koī qadr-dān-e-hunar
aap apne junūñ ke sanā-ḳhvāñ hue aap apne parastār bante ga.e
Top Urdushayar.com