Elizabeth Kurian Mona

daman tera mujhse chhuTa milne ke haalat nahin

Elizabeth Kurian Mona

Hyderabad, Telangana, India

1949
dāman terā mujh se chhūTā milne ke hālāt nahīñ
lekin tujh ko bhuul sakūñ maiñ aisī bhī to baat nahīñ
badle badle se lagte haiñ aaj ye tere tevar kyuuñ
pahle jaise kyuuñ ab tere pyaar ke vo jazbāt nahīñ
mere haath kī saarī lakīreñ uljhī uljhī laakh sahī
un meñ mujh ko tū mil jaa.e hogī merī maat nahīñ
tum se bichhḌe arsa biitā phir bhī aks hai āñkhoñ meñ
aa.e na ho tum ḳhvāboñ meñ jo aisī koī raat nahīñ
ḳhush-qismat haiñ log vo jin ko pyaar ke badle pyaar milā
is duniyā meñ har insāñ ko hāsil ye sauġhāt nahīñ
jaate jaate ġham kī daulat tum ne bhar dī jholī meñ
ab ye ziist kā sarmāya hai ma.amūlī ḳhairāt nahīñ
dard-bharī hai yād-e-māzī phir bhī bas jī lete haiñ
ham ne jaanā har manDap meñ aatī hai bārāt nahīñ
chāhe bahār kā mausam ho yā vasl kā koī aalam ho
biit ga.e jo phir se vāpas aate vo lamhāt nahīñ
jab jab tum yaad aa.e 'monā' bhar aa.iiñ merī āñkheñ
aag lagā.e dil meñ aañsū ye koī barsāt nahīñ
Top Urdushayar.com