yahī nahīñ ki bas ġham-e-safar hamāre saath hai
mizāj-e-shabnam o dil-e-sharar hamāre saath hai
unheñ kulāh-e-ḳhvājgī pe naaz hai huā kare
ye anjuman kī anjuman magar hamāre saath hai
shab-e-safar kā ġham hī kyā shab-e-safar hai muḳhtasar
abhī to ek dal sā rāhbar hamāre saath hai
tumhāre dāmanoñ meñ sañg-hā-e-nau-ba-nau sahī
ḳhayāl-e-indimāl-e-zaḳhm-e-sar hamāre saath hai
vo log aur un kī vo dukāñ to baḌh ga.ī magar
sitamgaroñ kī tab.a shīshagar hamāre saath hai
jise qadam qadam pe ḳhud hī hājat-e-davā na ho
batāo koī aisā chāra-gar hamāre saath hai
nahīñ agar tufañg o tiir o tesha o tabar to kyā
dil-e-javāñ junūn-e-mo'atabar hamāre saath hai