Mujeeb Khairabadi

apnon ka ye aalam kya kahiye milte hain to beganon ki tarah

Mujeeb Khairabadi

apnoñ kā ye aalam kyā kahiye milte haiñ to begānoñ kī tarah
is daur meñ dil be-qīmat haiñ TuuTe hue paimānoñ kī tarah
parvāne to jal bujhte haiñ magar dil haiñ ki sulagte rahte haiñ
āsāñ to nahīñ jiite rahnā ham aise girāñ-jānoñ kī tarah
yā sham.a kī lo hī maddham hai yā sard hai dil kī aag abhī
sochā thā ki uḌ kar pahuñcheñge us bazm meñ parvānoñ kī tarah
tinkoñ ke safīne le le kar kyā kyā na muqābil aa.ī ḳhirad
ham ahl-e-junūñ raqsāñ hī rahe biphre hue tūfānoñ kī tarah
yā kaun-o-makāñ meñ ḳhvār hue yā kaun-o-makāñ kī ḳhair nahīñ
jiinā hai to insānoñ kī tarah marnā hai to insānoñ kī tarah
Top Urdushayar.com