ham ahl-e-azm agar dil se justujū karte
to aur manzil-e-jānāñ ko surḳh-rū karte
na dastaras meñ bahāreñ na dil hī qaabū meñ
ġharīb-e-shahr kahāñ tak jigar lahū karte
kise ḳhabar hai ki dil ke kañval khileñ na khileñ
kaTī hai umr bahāroñ kī aarzū karte
na aa sake the ye hālāt kā taqāzā thā
jo aa ga.e the to phir khul ke guftugū karte
ye faisla to kiyā dil ne baar baar magar
ik aarzū hī rahī tark-e-ārzū karte
sukūn-e-sīna-e-tūfāñ 'mujīb' kyā shai hai
ye jāniye to na sāhil kī aarzū karte