sūraj kī sunahrī kirnoñ se tābinda ruḳh-e-ālam na sahī
āsār-e-sahar to paidā haiñ kam zulmat-e-shām-e-ġham na sahī
ādāb-e-chaman se nā-vāqif zanjīr bapā dīvānoñ ko
ta.amīr-e-chaman kī fikr to hai taḳhrīb-e-chaman kā ġham na sahī
haañ yaad hameñ bhī kar lenā āsā.ish-e-manzil se pahle
ai qāfile vaalo ġham na karo ai manzil-e-jānāñ ham na sahī
anjām-e-safar kyā honā hai ye faisla mustaqbil degā
maidānoñ pe vahshat aaj bhī hai rāhoñ ke vo pech-o-ḳham na sahī
māyūs 'mujīb' itnā bhī na ho laġhzish to gunāh-e-ādam hai
manzil kī talab to mohkam hai idrāk-e-safar mohkam na sahī