kitne ḳhvāb TuuTe haiñ kitne chāñd gahnā.e
jo raqīb-e-zulmat ho ab vo āftāb aa.e
dushmanoñ ko apnāyā dostoñ ke ġham khaa.e
phir bhī ajnabī Thahre phir bhī ġhair kahlā.e
nā-ḳhudā kī niyyat kā khul gayā bharam to kyā
baat jab hai kashtī bhī Dūbne se bach jaa.e
hādse bhī barseñge zalzale bhī ā.eñge
ye safar qayāmat hai tum kahāñ chale aa.e
phuul phuul barham hai ḳhaar ḳhaar dushman hai
ham 'mujīb' gulshan se lau lagā ke pachhtā.e