mire sāthiyo mire hamdamo ye bajā ki tez-ḳhirām huuñ
mire saath saath chale chalo meñ na.ī sahar kā payām huuñ
mire naqsh-e-pā na miTe agar to chamak uTheñge ye rāste
mire qāfile ko ḳhabar karo maiñ harīf-e-zulmat-e-shām huuñ
vahī roz-o-shab vahī zulmateñ vahī marhale vahī gardisheñ
jo kabhī tamām na ho sake vo hadīs-e-nīm-tamām hoñ
kahīñ sub.h hai kahīñ shaam hai mujhe ḳhud bhī apnā patā nahīñ
mirā kyā surāġh mile tumheñ abhī be-dayār-o-qayām huuñ
dil-e-dard-mañd ko aaj bhī hai 'mujīb' hasrat-e-rāz-dāñ
maiñ vo ek naġhma-e-ārzū ki ḳhud apne lab pe harām huuñ