Hakeem Nasir

ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi

Hakeem Nasir

Ajmer, Rajasthan, India

1947-2007
ishq kar ke dekh lī jo bebasī dekhī na thī
is qadar uljhan meñ pahle zindagī dekhī na thī
ye tamāshā bhī ajab hai un ke uTh jaane ke baad
maiñ ne din meñ is se pahle tīrgī dekhī na thī
aap kyā aa.e ki ruḳhsat sab andhere ho ga.e
is qadar ghar meñ kabhī bhī raushnī dekhī na thī
aap se āñkheñ milī thiiñ phir na jaane kyā huā
log kahte haiñ ki aisī be-ḳhudī dekhī na thī
mujh ko ruḳhsat kar rahe haiñ vo ajab andāz se
aañkh meñ aañsū laboñ par ye hañsī dekhī na thī
kis qadar ḳhush huuñ maiñ 'nāsir' un ko pā lene ke baad
aisā lagtā hai kabhī aisī ḳhushī dekhī na thī
Top Urdushayar.com