Hakeem Nasir

kabhi wo hath na aaya hawaon jaisa hai

Hakeem Nasir

Ajmer, Rajasthan, India

1947-2007
kabhī vo haath na aayā havāoñ jaisā hai
vo ek shaḳhs jo sach-much ḳhudāoñ jaisā hai
hamārī sham-e-tamannā bhī jal ke ḳhaak huī
hamāre sho.aloñ kā aalam chitāoñ jaisā hai
vo bas gayā hai jo aa kar hamārī sāñsoñ meñ
jabhī to lahja hamārā duāoñ jaisā hai
tumhāre ba.ad ujāle bhī ho ga.e ruḳhsat
hamāre shahr kā manzar bhī gaañv jaisā hai
vo ek shaḳhs jo ham se hai ajnabī ab tak
ḳhulūs us kā magar āshnāoñ jaisā hai
hamāre ġham meñ vo zulfeñ bikhar ga.iiñ 'nāsir'
jabhī to aaj kā mausam bhī chhāñv jaisā hai
Top Urdushayar.com