mai-kashī gardish-e-ayyām se aage na baḌhī
merī madhoshī mire jaam se aage na baḌhī
dil kī hasrat dil-e-nākām se aage na baḌhī
zindagī maut ke paiġhām se aage na baḌhī
vo ga.e ghar ke charāġhoñ ko bujhā kar mere
phir mulāqāt mirī shaam se aage na baḌhī
rah ga.ī ghuT ke tamannā yūñhī dil meñ ai dost
guftugū apnī tire naam se aage na baḌhī
vo mujhe chhoḌ ke ik shaam ga.e the 'nāsir'
zindagī apnī usī shaam se aage na baḌhī