Hakeem Nasir

aankhon ne haal kah diya honT na phir hila sake

Hakeem Nasir

Ajmer, Rajasthan, India

1947-2007
āñkhoñ ne haal kah diyā hoñT na phir hilā sake
dil meñ hazār zaḳhm the jo na unheñ dikhā sake
ghar meñ jo ik charāġh thā tum ne use bujhā diyā
koī kabhī charāġh ham ghar meñ na phir jalā sake
shikva nahīñ hai arz hai mumkin agar ho aap se
diije mujh ko ġham zarūr dil jo mirā uThā sake
vaqt qarīb aa gayā haal ajiib ho gayā
aise meñ terā naam ham phir bhī na lab pe lā sake
us ne bhulā ke aap ko nazroñ se bhī girā diyā
'nāsir'-e-ḳhasta-hāl phir kyuuñ na use bhulā sake
Top Urdushayar.com