is rāh-e-mohabbat meñ to āzār mile haiñ
phūloñ kī tamannā thī magar ḳhaar mile haiñ
anmol jo insāñ thā vo kauḌī meñ bikā hai
duniyā ke ka.ī aise bhī bāzār mile haiñ
jis ne bhī mujhe dekhā hai patthar se navāzā
vo kaun haiñ phūloñ ke jinheñ haar mile haiñ
mālik ye diyā aaj havāoñ se bachānā
mausam hai ajab āñdhī ke āsār mile haiñ
duniyā meñ faqat ek zuleḳhā hī nahīñ thī
har yūsuf-e-sānī ke ḳharīdār mile haiñ
ab un ke na milne kī shikāyat na gila hai
ham jab bhī mile ḳhud se to be-zār mile haiñ
'nāsir' ye tamannā thī mohabbat se mileñge
vo jab bhī mile bar-sar-e-paikār mile haiñ