jab bhī jalegī sham.a to parvāna aa.egā
dīvāna le ke jaan kā nazrāna aa.egā
tujh ko bhulā ke lūñgā maiñ ḳhud se bhī intiqām
jab mere haath meñ koī paimāna aa.egā
āsān kis qadar hai samajh lo mirā pata
bastī ke baad pahlā jo vīrāna aa.egā
us kī galī meñ sar kī bhī lāzim hai ehtiyāt
patthar uThā ke haath meñ dīvāna aa.egā
'nāsir' jo pattharoñ se navāzā gayā huuñ maiñ
marne ke baad phūloñ kā nazrāna aa.egā