Hakeem Nasir

ai dost kahin tujh pe bhi ilzam na aae

Hakeem Nasir

Ajmer, Rajasthan, India

1947-2007
ai dost kahīñ tujh pe bhī ilzām na aa.e
is merī tabāhī meñ tirā naam na aa.e
ye dard hai hamdam usī zālim kī nishānī
de mujh ko davā aisī ki ārām na aa.e
kāñdhe pe uThā.e haiñ sitam rāh-e-vafā ke
shikva mujhe tum se hai ki do-gām na aa.e
lagtā hai ki phailegī shab-e-ġham kī siyāhī
aañsū mirī palkoñ pe sar-e-shām na aa.e
maiñ baiTh ke piitā rahūñ bas terī nazar se
hāthoñ meñ kabhī mere koī jaam na aa.e
baiThā huuñ diyā ghar kā jo 'nāsir' maiñ jalā ke
aisā na ho phir vo dil-e-nākām na aa.e
Top Urdushayar.com