jag meñ aatā hai har bashar tanhā
lauT jaatā hai phir kidhar tanhā
kuchh duā bhī to ho marīz ke naam
kab davā kā huā asar tanhā
muddatoñ ḳhud ko hī tarāshā hai
siip meñ rah ke ik guhar tanhā
umr-bhar sab ke kaam aayā jo
ro paḌā ḳhud ko dekh kar tanhā
sab masarrat meñ saath dete haiñ
ġham uThā.eñge ham magar tanhā
tark ulfat jo us ne kī ham se
thāmte ham rahe jigar tanhā
chhāñv meñ baiTh kar ga.e haiñ sabhī
rah gayā phir se ik shajar tanhā
kahkashāñ bhī hai aur taare bhī
chāñd aatā hai kyuuñ nazar tanhā
yādoñ ke kārvāñ mile ham se
ḳhud ko samjhe the ham jidhar tanhā
chaar pal vasl ke jo biit ga.e
ḳhud ko paayā hai kis qadar tanhā
beach apnoñ ke rah ke bhī 'monā'
zindagī ham ne kī basar tanhā