Elizabeth Kurian Mona

ai gham-e-dil ye majra kya hai

Elizabeth Kurian Mona

Hyderabad, Telangana, India

1949
ai ġham-e-dil ye mājrā kyā hai
dard-e-ulfat se vāsta kyā hai
rahne do in hasīn va.adoñ ko
jhūTe va.ade haiñ sab nayā kyā hai
jām-o-mīnā ko chhoḌ kar dekho
chashm-e-sāqī kā ye nasha kyā hai
sho.ala-e-ġham ko aur bhaḌkā.e
kaun samjhe ki ye huā kyā hai
chhin gayā hai sukūn bhī merā
āshiqī ne mujhe diyā kyā hai
chāragar koī bhī na jaan sakā
maut aur ishq kī davā kyā hai
kyā bharosa hai zindagānī kā
jaane taqdīr meñ likhā kyā hai
chashm-e-pur-nam magar laboñ pe hañsī
dil meñ 'monā' tire chhupā kyā hai
Top Urdushayar.com