kho.e hue paloñ kī koī baat bhī to ho
vo mil gayā hai us se mulāqāt bhī to ho
barbād maiñ huā to ye bolā amīr-e-shahr
coffē nahīñ hai itnā, fanā zaat bhī to ho
duniyā kī mujh pe laakh navāzish sahī magar
mary taraqqiyoñ meñ tirā haat bhī to ho
miltī haiñ gor yaañ to sar-e-rāh bhī magar
panghaT ho gāgarī ho vo dehāt bhī to ho
haare to lāziman use koī panāh de
ham se laḌe jo us kī ye auqāt bhī to ho
kaTtī hai shab visāl kī palkeñ jhapakte hī
jis kī sub.h na ho kabhī vo raat bhī to ho
lafzoñ ke her-pher se bantī nahīñ ġhazal
sheroñ meñ thoḌī garmi-e-jazbāt bhī to ho