dānā.iyāñ aTak ga.iiñ lafzoñ ke jaal meñ
itne javāb gum haiñ mire ik savāl meñ
dariyā bas ik qadam kabhī sāhil kī samt aa
dekhūñgā zor kitnā hai tere ubaal meñ
kī ehtiyāt laakh magar haal ye huā
aanā thā jin ko aa hī ga.e terī chaal meñ
jī chāhtā hai tark-e-mohabbat ko baar baar
aatā hai ek aisā bhī lamha visāl meñ
ab kyā usūl-e-dasht-navardī kī baat ho
uljhe paḌe haiñ paañv shikārī ke jaal meñ