tumhāre saath ye jhūTe faqīr rahte haiñ
hamāre saath to munkir-nakīr rahte haiñ
hamārī kam-nazarī se jo ho ga.e mahdūd
unhī mazāroñ meñ raushan zamīr rahte haiñ
rivāyatoñ ke ta.assur kā apnā jaadū hai
kahīñ kahīñ mirī ġhazloñ meñ 'mīr' rahte haiñ
bahut udaas haiñ dīvāreñ ūñche mahloñ kī
ye vo khañDar haiñ ki jin meñ amiir rahte haiñ
har ik fasād zarūrat hai ab siyāsat kī
har ik ghoTāle ke pīchhe vazīr rahte haiñ