Hasnain Aaqib

KHana-e-dil ki moattar bhi bahut lagta hai

Hasnain Aaqib

Akola, Maharashtra, India

1971
ḳhāna-e-dil ki mo.attar bhī bahut lagtā hai
terī yādoñ se munavvar bhī bahut lagtā hai
garche halkā sā dhuñdlakā hai tasavvur bhī tirā
band āñkhoñ ko ye manzar bhī bahut lagtā hai
sochte haiñ ki jiyeñge tujhe jī bhar ke magar
zindagī tujh se hameñ Dar bhī bahut lagtā hai
pūchh ham se ki haqīqat meñ hai kyā terā vajūd
tere shānoñ pe ye ik sar bhī bahut lagtā hai
farq kuchh bhī nahīñ ehsās-e-tashaḳhḳhus ke sivā
darmiyāñ apne ye antar bhī bahut lagtā hai
ham qanā.at pe guzar karte haiñ 'āqib' ham ko
kachchī dīvāroñ kā ik ghar bhī bahut lagtā hai
Top Urdushayar.com