Hasnain Aaqib

kitna lamba tera safar dariya

Hasnain Aaqib

Akola, Maharashtra, India

1971
kitnā lambā tirā safar dariyā
is ko kar thoḌā muḳhtasar dariyā
is zamīñ par hai be-gharī qismat
mar ke ban jaa.e apnā ghar dariyā
mil gayā jā ke ab samundar se
vaah tū ho gayā amar dariyā
bāñdh kar bañdh tujh ko rok liyā
ma.arka ho gayā hai sar dariyā
beach apne jo ho ga.ī haa.il
is bulandī se ab utar dariyā
terā sailāb sañg-dil hai bahut
is ghamanDī ke par katar dariyā
kuchh nasheb-o-farāz lāzim haiñ
sīdhe sīdhe na kar safar dariyā
chashm-e-'āqib' meñ aa ke Thahr zarā
yuuñ na phir ab bhī dar-ba-dar dariyā
Top Urdushayar.com