Elizabeth Kurian Mona

Dubne wale ko tinke ka sahaara hai bahut

Elizabeth Kurian Mona

Hyderabad, Telangana, India

1949
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā hai bahut
raat tārīk sahī ek sitārā hai bahut
dard uThtā hai jigar meñ kisī tūfāñ kī tarah
tab tirī yādoñ ke dāman kā kināra hai bahut
zulm jis ne kiye vo shaḳhs banā hai munsif
zulm par zulm ne mazlūm ko maarā hai bahut
raah dushvār hai pag pag pe haiñ kāñTe lekin
rāh-rau ke liye manzil kā ishāra hai bahut
us ko paane kī tamannā hī rahī jīvan bhar
duur se ham ne masarrat ko nihārā hai bahut
fāsle baḌhte ga.e umr bhī Dhaltī hī ga.ī
vasl kā ḳhvāb liye vaqt guzārā hai bahut
hoñT ḳhāmosh the ik aah bhī ham bhar na sake
bārhā dil ne magar tum ko pukārā hai bahut
jhūTī tārīf se lagtā hai bahut Dar 'monā'
mīThī bātoñ ne hī shīshe meñ utārā hai bahut
Top Urdushayar.com