navā-e-dil ne karishme dikhā.e haiñ kyā kyā
mirī azaañ ne namāzī jagā.e haiñ kyā kyā
jamāl-e-yār tirī āb-o-tāb kyā kahiye
nazar nazar pe qadam Dagmagā.e haiñ kyā kyā
adā-e-nāz ko andāz-e-dilbarī samjhe
fareb ahl-e-mohabbat ne khaa.e haiñ kyā kyā
zamīñ zamīñ na rahī aur falak falak na rahā
maqām-o-vaqt bhī gardish meñ aa.e haiñ kyā kyā
vo terī shoḳh-nigāhī vo terī ḳhanda-labī
dil-e-ġharīb pe charke lagā.e haiñ kyā kyā
kabhī ḳhulūs-e-mohabbat kabhī gurez-o-farār
banā banā ke muqaddar miTā.e haiñ kyā kyā
kabhī to dekh ki merī tabāh-hālī par
hayāt-o-maut ne aañsū bahā.e haiñ kyā kyā
hai aaj ḳhūn-e-tamannā to kal ummīd kī maut
dil-e-hazīñ ne janāze uThā.e haiñ kyā kyā
nigāh-e-'qais' tirī dastaras ko maan ga.e
kahāñ kahāñ se mazāmīñ churā.e haiñ kyā kyā