hisār-e-zāt se niklūñ to tujh se baat karūñ
tirī sifāt ko samjhūñ to tujh se baat karūñ
tū kohsār meñ vaadī meñ dasht-o-sahrā meñ
maiñ tujh ko DhūñD nikālūñ to tujh se baat karūñ
tū shāḳh shāḳh pe baiThā hai phuul kī sūrat
maiñ ḳhaar ḳhaar se uljhūñ to tujh se baat karūñ
tire ishāroñ se baḌh kar tirā bayāñ mub.ham
maiñ terī baat ko samjhūñ to tujh se baat karūñ
jhijak jhijak ke agar ho to baat baat nahīñ
maiñ terī aañkh meñ jhāñkūñ to tujh se baat karūñ
tū merā dost hai dushman hai yā ki kuchh bhī nahīñ
maiñ tere dil ko TaTolūñ to tujh se baat karūñ
ye mauj mauj talātum pe Dūbnā merā
maiñ ittifāq se ubhrūñ to tujh se baat karūñ
zabān-e-'qais' pe har vaqt terī bāteñ haiñ
zabān-e-qais jo sīkhūñ to tujh se baat karūñ