Rehman Faris

sar-ba-sar yar ki marzi pe fida ho jaana

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
sar-ba-sar yaar kī marzī pe fidā ho jaanā
kyā ġhazab kaam hai rāzī-ba-razā ho jaanā
band āñkho vo chale aa.eñ to vā ho jaanā
aur yuuñ phuuT ke ronā ki fanā ho jaanā
ishq meñ kaam nahīñ zor-zabardastī kā
jab bhī tum chāho judā honā judā ho jaanā
terī jānib hai ba-tadrīj taraqqī merī
mere hone kī hai me.arāj tirā ho jaanā
tere aane kī bashārat ke sivā kuchh bhī nahīñ
baaġh meñ sūkhe daraḳhtoñ kā harā ho jaanā
ik nishānī hai kisī shahr kī barbādī kī
nāravā baat kā yak-laḳht ravā ho jaanā
tañg aa jā.ūñ mohabbat se to gaahe gaahe
achchhā lagtā hai mujhe terā ḳhafā ho jaanā
sī diye jaa.eñ mire hoñT to ai jān-e-ġhazal
aisā karnā mirī āñkhoñ se adā ho jaanā
be-niyāzī bhī vahī aur ta.alluq bhī vahī
tumheñ aatā hai mohabbat meñ ḳhudā ho jaanā
azhdahā ban ke rag-o-pai ko jakaḌ letā hai
itnā āsān nahīñ ġham se rihā ho jaanā
achchhe achchhoñ pe bure din haiñ lihāzā 'fāris'
achchhe hone se to achchhā hai burā ho jaanā
Top Urdushayar.com