Rehman Faris

ye jo mujh par nikhaar hai sain

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
ye jo mujh par nikhār hai sā.īñ
aap hī kī bahār hai sā.īñ
aap chāheñ to jaan bhī le leñ
aap ko iḳhtiyār hai sā.īñ
tum milāte ho bichhḌe logoñ ko
ek merā bhī yaar hai sā.īñ
kisī khūñTī se bāñdh diije use
dil baḌā be-mahār hai sā.īñ
ishq meñ laġhzishoñ pe kiije muaaf
sā.īñ ye pahlī baar hai sā.īñ
kul milā kar hai jo bhī kuchh merā
aap se musta.ār hai sā.īñ
ek kashtī banā hī diije mujhe
koī dariyā ke paar hai sā.īñ
roz aañsū kamā ke laatā huuñ
ġham mirā rozgār hai sā.īñ
vus.at-e-rizq kī duā diije
dard kā kārobār hai sā.īñ
ḳhār-zāroñ se ho ke aayā huuñ
pairahan tār-tār hai sā.īñ
kabhī aa kar to dekhiye ki ye dil
kaisā ujḌā dayār hai sā.īñ
Top Urdushayar.com