baiThe haiñ chain se kahīñ jaanā to hai nahīñ
ham be-gharoñ kā koī Thikānā to hai nahīñ
tum bhī ho biite vaqt ke mānind hū-ba-hū
tum ne bhī yaad aanā hai aanā to hai nahīñ
ahd-e-vafā se kis liye ḳhā.if ho merī jaan
kar lo ki tum ne ahd nibhānā to hai nahīñ
vo jo hameñ aziiz hai kaisā hai kaun hai
kyuuñ pūchhte ho ham ne batānā to hai nahīñ
duniyā ham ahl-e-ishq pe kyuuñ pheñktī hai jaal
ham ne tire fareb meñ aanā to hai nahīñ
vo ishq to karegā magar dekh bhaal ke
'fāris' vo tere jaisā divāna to hai nahīñ