Rehman Faris

main kar-amad hun ya be-kar hun main

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
maiñ kār-āmad huuñ yā be-kār huuñ maiñ
magar ai yaar terā yaar huuñ maiñ
jo dekhā hai kisī ko mat batānā
ilāqe bhar meñ izzat-dār huuñ maiñ
ḳhud apnī zaat ke sarmā.e meñ bhī
sifar fīsad kā hisse-dār huuñ maiñ
aur ab kyuuñ bain karte aa ga.e hoñ
kahā thā nā bahut bīmār huuñ maiñ
mirī to saarī duniyā bas tumhī ho
ġhalat kyā hai jo duniyā-dār huuñ maiñ
kahānī meñ jo hotā hī nahīñ hai
kahānī kā vahī kirdār huuñ maiñ
ye tai kartā hai dastak dene vaalā
kahāñ dar huuñ kahāñ dīvār huuñ maiñ
koī samjhā.e mere dushmanoñ ko
zarā sī dostī kī maar huuñ maiñ
mujhe patthar samajh kar pesh mat aa
zarā sā rahm kar jāñ-dār huuñ maiñ
bas itnā soch kar kiije koī hukm
baḌā muñh-zor ḳhidmat-gār huuñ maiñ
koī shak hai to be-shak aazmā le
tirā hone kā da.ave-dār huuñ maiñ
agar har haal meñ ḳhush rahnā fan hai
to phir sab se baḌā fankār huuñ maiñ
zamāna to mujhe kahtā hai 'fāris'
magar 'fāris' kā parda-dār huuñ maiñ
unheñ khilnā sikhātā huuñ maiñ 'fāris'
gulāboñ kā suhūlat-kār huuñ maiñ
Top Urdushayar.com