raat aa baiThī hai pahlū meñ sitāro taḳhliya
ab hameñ darkār hai ḳhalvat so yaaro taḳhliya
aañkh vā hai aur husn-e-yār hai pesh-e-nazar
shash-jihat ke bāqī-māñda sab nazāro taḳhliya
dekhne vaalā thā manzar jab kahā darvesh ne
kaj-kulāho bādshāho tāj-dāro taḳhliya
ġham se ab hogī barāh-e-rāst merī guftugū
dosto tīmār-dāro ġham-gusāro taḳhliya
chaar jānib hai hujūm-e-nā-shānāyān-e-suḳhan
aaj puure zor se 'fāris' pukāro taḳhliya