Rehman Faris

nazar uThaen to kya kya fasana banta hai

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
nazar uThā.eñ to kyā kyā fasāna bantā hai
sau pesh-e-yār nigāheñ jhukānā bantā hai
vo laakh be-ḳhabar-o-be-vafā sahī lekin
talab kiyā hai gar us ne to jaanā bantā hai
ragoñ talak utar aa.ī hai zulmat-e-shab-e-ġham
so ab charāġh nahīñ dil jalānā bantā hai
parā.ī aag mirā ghar jalā rahī hai so ab
ḳhamosh rahnā nahīñ ġhul machānā bantā hai
qadam qadam pe tavāzun kī baat mat kiije
ye mai-kada hai yahāñ laḌkhaḌānā bantā hai
bichhaḌne vaale tujhe kis tarah batā.ūñ maiñ
ki yaad aanā nahīñ terā aanā bantā hai
ye dekh kar ki tire āshiqoñ meñ maiñ bhī huuñ
jamāl-e-yār tirā muskurānā bantā hai
junūñ bhī sirf dikhāvā hai vahshateñ bhī ġhalat
divāna hai nahīñ 'fāris' divāna bantā hai
Top Urdushayar.com