Rehman Faris

kyun tere sath rahin umr basar hone tak

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
kyuuñ tire saath rahīñ umr basar hone tak
ham na dekheñge imārat ko khañDar hone tak
tum to darvāza khulā dekh ke dar aa.e ho
tum ne dekhā nahīñ dīvār ko dar hone tak
chup rahīñ aah bhareñ chīḳh uTheñ yā mar jaa.eñ
kyā kareñ be-ḳhabaro tum ko ḳhabar hone tak
ham pe kar dhyān are chāñd ko takne vaale
chāñd ke paas to mohlat hai sahar hone tak
haal mat pochhiye kuchh bāteñ batāne kī nahīñ
bas duā kiije duāoñ meñ asar hone tak
sag-e-āvāra ke mānind mohabbat ke faqīr
dar-ba-dar hote rahe shahr-badar hone tak
aap maalī haiñ na sūraj haiñ na mausam phir bhī
biij ko dekhte rahiyegā samar hone tak
dasht-e-ḳhāmosh meñ dam sādhe paḌā rahtā hai
paañv kā pahlā nishāñ rāh-guzar hone tak
faanī hone se na ghabrā.iye 'fāris' ki hameñ
an-ginat martaba marnā hai amar hone tak
Top Urdushayar.com