Rehman Faris

umr-bhar ishq kisi taur na kam ho aamin

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
umr-bhar ishq kisī taur na kam ho āmīn
dil ko har roz atā ne.amat-e-ġham ho āmīn
mere kaase ko hai bas chaar hī sikkoñ kī talab
ishq ho vaqt ho kāġhaz ho qalam ho āmīn
hujra-e-zāt meñ yā mahfil-e-yārāñ meñ rahūñ
fikr duniyā kī mujhe ho bhī to kam ho āmīn
jab maiñ ḳhāmosh rahūñ raunaq-e-mahfil Thahrūñ
aur jab baat karūñ baat meñ dam ho āmīn
log chāheñ bhī to ham ko na judā kar paa.eñ
yuuñ mirī zaat tirī zaat meñ zam ho āmīn
ishq meñ Duub ke jo kuchh bhī likhūñ kāġhaz par
ḳhud-baḳhud lauh-e-zamāna pe raqam ho āmīn
na Darā paa.e mujhe tīrgī-e-dasht-e-firāq
har taraf raushnī-e-dīda-e-nam ho āmīn
'mīr' ke sadqe mire harf ko darveshī mile
duur mujh se havas-e-dām-o-diram ho āmīn
mere kānoñ ne sunā hai tire baare meñ bahut
merī āñkhoñ pe bhī thoḌā sā karam ho āmīn
jab zamīñ āḳhirī hiddat se pighalne lag jaa.e
ishq kī chhāñv mire sar ko baham ho āmīn
Top Urdushayar.com