Rehman Faris

wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
vidā-e-yār kā lamha Thahar gayā mujh meñ
maiñ ḳhud to zinda rahā vaqt mar gayā mujh meñ
sukūt-e-shām meñ chīḳheñ sunā.ī detī haiñ
tū jaate jaate ajab shor bhar gayā mujh meñ
vo pahle sirf mirī aañkh meñ samāyā thā
phir ek roz ragoñ tak utar gayā mujh meñ
kuchh aise dhyān meñ chehra tirā tulūa huā
ġhurūb-e-shām kā manzar nikhar gayā mujh meñ
maiñ us kī zaat se munkir thā aur phir ik din
vo apne hone kā elaan kar gayā mujh meñ
khañDar samajh ke mirī sair karne aayā thā
gayā to mausam-e-ġham phuul dhar gayā mujh meñ
galī meñ gūñjī ḳhamoshī kī chīḳh raat ke vaqt
tumhārī yaad kā bachcha sā Dar gayā mujh meñ
batā maiñ kyā karūñ dil naam ke is āñgan kā
tirī umiid pe jo saj-sañvar gayā mujh meñ
ye apne apne muqaddar kī baat hai 'fāris'
maiñ is meñ simTā rahā vo bikhar gayā mujh meñ
Top Urdushayar.com