Rehman Faris

sukut-e-sham mein gunji sada udasi ki

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
sukūt-e-shām meñ gūñjī sadā udāsī kī
ki hai mazīd udāsī davā udāsī kī
bahut sharīr thā maiñ aur hañstā phirtā thā
phir ik faqīr ne de dī duā udāsī kī
umūr-e-dil meñ kisī tīsre kā daḳhl nahīñ
yahāñ faqat tirī chaltī hai yā udāsī kī
charāġh-e-dil ko zarā ehtiyāt se rakhnā
ki aaj raat chalegī havā udāsī kī
vo imtizāj thā aisā ki dañg thī har aañkh
jamāl-e-yār ne pahnī qabā udāsī kī
isī umiid pe āñkheñ barastī rahtī haiñ
ki ek din to sunegā ḳhudā udāsī kī
shajar ne pūchhā ki tujh meñ ye kis kī ḳhushbū hai
havā-e-shām-e-alam ne kahā udāsī kī
dil-e-fasurda ko maiñ ne to maar hī Daalā
so maiñ to Thiik huuñ ab tū sunā udāsī kī
zarā sā chhū leñ to ghanToñ dahaktī rahtī hai
hameñ to maar ga.ī ye adā udāsī kī
bahut dinoñ se maiñ us se nahīñ milā 'fāris'
kahīñ se ḳhair-ḳhabar le ke aa udāsī kī
Top Urdushayar.com