Rehman Faris

sadaen dete hue aur KHak uDate hue

Rehman Faris

Lahore, Punjab, Pakistan

1976
sadā.eñ dete hue aur ḳhaak uḌāte hue
maiñ apne aap se guzrā huuñ tujh tak aate hue
phir us ke ba.ad zamāne ne mujh ko rauñd diyā
maiñ gir paḌā thā kisī aur ko uThāte hue
kahānī ḳhatm huī aur aisī ḳhatm huī
ki log rone lage tāliyāñ bajāte hue
phir us ke ba.ad atā ho ga.ī mujhe tāsīr
maiñ ro paḌā thā kisī ko ġhazal sunāte hue
ḳharīdnā hai to dil ko ḳharīd le fauran
khilaune TuuT bhī jaate haiñ āzmāte hue
tumhārā ġham bhī kisī tifl-e-shīr-ḳhār sā hai
ki uuñgh jaatā huuñ maiñ ḳhud use sulāte hue
agar mile bhī to miltā hai raah meñ 'fāris'
kahīñ se aate hue yā kahīñ ko jaate hue
Top Urdushayar.com