Saail Dehlvi

jatate rahte hain ye hadse zamane ke

Saail Dehlvi

Delhi, India

1864-1945
jatāte rahte haiñ ye hādse zamāne ke
ki tinke jamā kareñ phir na āshiyāne ke
sabab ye hote haiñ har sub.h baaġh jaane ke
sabaq paḌhāte haiñ kaliyoñ ko muskurāne ke
hazāroñ ishq-e-junūñ-ḳhez ke bane qisse
varaq hue jo pareshāñ mire fasāne ke
haiñ e'tibār se kitne gire hue dekhā
isī zamāne meñ qisse isī zamāne ke
qarār-e-jalva-numā.ī huā hai fardā par
ye tuul dekhiye ik muḳhtasar zamāne ke
na phuul murġh-e-chaman apnī ḳhush-navā.ī par
javāb haiñ mire naale tire tarāne ke
usī kī ḳhaak hai māthe kī zeb banda-navāz
jabīñ pe naqsh paḌe haiñ jis āstāne ke
Top Urdushayar.com