ḳhizāñ kā jo gulshan se paḌ jaa.e paalā
to sehn-e-chaman meñ na gul ho na laala
liyā tere āshiq ne barsoñ sambhālā
bahut kar gayā marne vaalā kasālā
pa.e-fāteha haath uThāvegā koī
sar-e-turbat-e-bekasāñ aane vaalā
isī girya ke taar se merī āñkheñ
banā deñgī naddī bahā deñgī naalā
biThā kar tumheñ sham.a ke paas dekhā
tum āñkhoñ kī putlī vo ghar kā ujālā
ḳhat-e-shauq ko paḌh ke qāsid se bole
ye hai kaun dīvāna ḳhat likhne vaalā
diyā hukm saaqī ko pīr-e-muġhāñ ne
pai-e-muhtasib jām-o-mīnā uThā lā
ye sunte hī mai-ḳhvār bole ḳhushī se
hamīñ sā hai ye nek allāh vaalā
haqīqat meñ 'sā.il' ne zauq-e-adab se
jahāñ tak uchhālā gayā naam uchhālā