uḌā saktā nahīñ koī mire andāz-e-shevan ko
ba-mushkil kuchh sikhāyā hai navā-sanjān-e-gulshan ko
garebāñ chaak karne kā sabab vahshī ne farmāyā
ki us ke taar le kar maiñ siyūñgā chāk-e-dāman ko
bahār aate hī baTtī haiñ ye chīzeñ qaid-ḳhānoñ meñ
salāsil haath ko paañv ko beḌī tauq gardan ko
jhaḌī aisī lagā dī hai mire ashkoñ kī bārish ne
dabā rakkhā hai bhādoñ ko bhulā rakkhā hai sāvan ko
dil-e-marhūm kī mayyat ijāzat do to rakh deñ ham
tire talve-barābar hī zamīñ kaafī hai madfan ko
ijāzat do to saarī anjuman ke dil hilā duuñ maiñ
samajh rakkhā hai tum ne hech tāsīrāt-e-shevan ko
sulūk-e-pīr-e-mai-ḳhāna kī ai saaqī talāfī kyā
ba-juz is ke duā.eñ do use phailā ke dāman ko