amānat mohtasib ke ghar sharāb-e-arġhavāñ rakh dī
to ye samjho ki buniyād-e-ḳharābāt-e-muġhāñ rakh dī
kahūñ kyā pesh-e-zāhid kyuuñ sharāb-e-arġhavāñ rakh dī
mirī taufīq jo kuchh thī barā.e mehmāñ rakh dī
yahāñ tak to nibhāyā maiñ ne tark-e-mai-parastī ko
ki piine ko uThā lī aur liiñ añgḌā.iyāñ rakh dī
janāb-e-shaiḳh mai-ḳhāne meñ baiThe haiñ barahna-sar
ab un se kaun pūchhe aap ne pagḌī kahāñ rakh dī
tumheñ parvā na ho mujh ko to jins-e-dil kī parvā hai
kahāñ DhūñDūñ kahāñ pheñkī kahāñ dekhūñ kahāñ rakh dī
lagā leñge use ahl-e-vafā be-shubah āñkhoñ se
agar pā-e-adū par us ne ḳhāk-e-āstāñ rakh dī
idhar par noch kar Daalā qafas meñ uf re bedardī
udhar ik jaltī chiñgārī miyān-e-āshiyāñ rakh dī
zamīr us kā Dubo degā use āb-e-ḳhajālat meñ
vafādārī kī tohmat ġhair par kyuuñ bad-gumāñ rakh dī
havas mastī kī 'sā.il' ko nahīñ kaafī hai thoḌī sī
pyāle meñ agar pas-ḳhurda-e-pīr-e-muġhāñ rakh dī