Saail Dehlvi

zom na kijo shama-ru bazm ke soz o saz par

Saail Dehlvi

Delhi, India

1864-1945
zom na kiijo sham.a-rū bazm ke soz o saaz par
rakhiyo nazar bajā-e-nāz ḳhātir-e-pīr-e-nāz par
zeb nahīñ hai shaiḳh ye mai-kash-e-pāk-bāz par
tohmateñ sau lagā.egā dāġh-e-jabīñ niyāz par
kahtā huuñ har hasīñ se maiñ niyat-e-ishq hai mirī
aa.egā merā dil magar shāhid-e-dil-navāz par
farq hayāt o marg kā murġh-e-chaman ke dil se pūchh
detā hai fauq daam ko chañgul-e-shāh-bāz par
ḳhvāb-e-lahad hai pur-sukūñ ahd-e-hayāt pur-alam
maut na kyuuñ ho tāna-zan zindagi-e-darāz par
sañg-e-dar-e-habīb par hotā huuñ sajda-rez maiñ
ḳhalq-e-ḳhudā hai mo'tariz mujh pe mirī namāz par
mun.im-e-be-basar yūñhī dekhiye tā-kujā rahe
mahv-e-nashāt o ḳhush-dilī naġhma-e-tār-e-sāz par
faḳhr-e-amal na chāhiye sa.i-e-amal zarūr hai
aañkh rahe lagī huī rahmat-e-kārsāz par
dar pe butoñ ke dī sadā 'sā.el'-e-be-navā ne ye
fazl-e-ḳhudā rahe mudām hāl-e-gadā-navāz par
Top Urdushayar.com