Saail Dehlvi

hote hi jawan ho gae paband-e-hijab aur

Saail Dehlvi

Delhi, India

1864-1945
hote hī javāñ ho ga.e pāband-e-hijāb aur
ghūñghaT kā izāfa huā bālā-e-naqāb aur
jab maiñ ne kahā kam karo ā.īn-e-hijāb aur
farmāyā baḌhā dūñgā abhī ek naqāb aur
piine kī sharāb aur javānī kī sharāb aur
hushyār ke ḳhvāb aur haiñ madhosh ke ḳhvāb aur
gardan bhī jhukī rahtī hai karte bhī nahīñ baat
dastūr-e-hijāb aur haiñ andāz-e-hijāb aur
paanī meñ shakar ghol ke piitā to hai ai shaiḳh
ḳhātir se milā de mirī do ghūñT sharāb aur
saaqī ke qadam le ke kahe jaatā hai ye shaiḳh
thoḌī sī sharāb aur de thoḌī sī sharāb aur
'sā.el' ne savāl us se kiyā jab bhī ye dekhā
miltā nahīñ gaalī ke sivā koī javāb aur
Top Urdushayar.com