Saail Dehlvi

wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main

Saail Dehlvi

Delhi, India

1864-1945
vafā kā banda huuñ ulfat kā pāsdār huuñ maiñ
Harīf-e-qamrī-o-parvāna-e-hazār huuñ maiñ
judā judā nazar aatī hai jalva-e-tāsīr
qarār ho gayā muusā ko be-qarār huuñ maiñ
ḳhumār jis se na vāqif ho vo surūr haiñ aap
surūr jis se na āgāh ho vo ḳhumār huuñ maiñ
samā gayā hai ye saudā ajiib sar meñ mire
karam kā ahl-e-sitam se ummīd-vār huuñ maiñ
evaz davā ke duā de gayā tabīb mujhe
kahā jo maiñ ne ġham-e-hijr se do-chār huuñ maiñ
shabāb kar diyā merā tabāh ulfat ne
ḳhizāñ ke haath kī boī huī bahār huuñ maiñ
qarār-dād-e-garebāñ huī ye dāman se
ki purze purze agar ho to taar taar huuñ maiñ
mire mazār ko samjhā na jaa.e ek mazār
hazār hasrat-o-armāñ kā ḳhud mazār huuñ maiñ
'zahīr' o 'arshad' o 'ġhālib' kā huuñ jigar-gosha
janāb-e-'dāġh' kā tilmīz o yādgār huuñ maiñ
amiir karte haiñ izzat mirī huuñ vo 'sā.il'
guloñ ke pahlū meñ rahtā huuñ aisā ḳhaar huuñ maiñ
Top Urdushayar.com