basā-auqāt aa jaate haiñ dāman se garebāñ meñ
bahut dekhe haiñ aise josh ashk-e-chashm-e-giryāñ meñ
nahīñ hai taab zabt-e-ġham kisī āshiq ke imkāñ meñ
dil-e-ḳhūñ-gashta yā dāman meñ hogā yā garebāñ meñ
mubārak bādiya-gardo bahār aa.ī bayābāñ meñ
numūd-e-rañg-e-gul hai har sar-e-ḳhār-e-muġhīlāñ meñ
ziyāda ḳhauf-e-rusvā.ī nahīñ hai soz-e-pinhāñ meñ
dhuāñ hotā hai lekin kam charāġh-e-zer-e-dāmāñ meñ
hamesha pī ke mai jaam o surāhī toḌ detā huuñ
na merā dil tarastā hai na farq aatā hai īmāñ meñ
maza kyuuñ kāvish-e-zaḳhm-e-jigar kā aaj kam kam hai
namak kī koī chuTkī rah ga.ī hogī namak-dāñ meñ
janāb-e-qais ne dil se bhulāyā donoñ aalam ko
junūñ ke chaar harfoñ kā sabaq lekar dabistāñ meñ
bahār aa.ī milā ye hukm mujh ko aur bulbul ko
ki vo kaaTe qafas meñ ḳhaak chhānūñ maiñ bayābāñ meñ
tarannum-reziyāñ bazm-e-suḳhan meñ sun ke 'sā.el' kī
gumāñ hotā hai bulbul ke chahakne kā gulistāñ meñ