Saail Dehlvi

mile ghairon se mujhko ranj o gham yun bhi hai aur yun bhi

Saail Dehlvi

Delhi, India

1864-1945
mile ġhairoñ se mujh ko ranj o ġham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
vafā-dushman jafā-jū kā sitam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kahīñ vāmiq kahīñ majnūñ raqam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
hamāre naam par chaltā qalam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
shab-e-vāda vo aa jaa.eñ na aa.eñ mujh ko bulvā leñ
ināyat yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī karam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
udū likkhe mujhe naama tumhārī mohr us kā ḳhat
jafā yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī sitam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
na ḳhud aa.eñ na bulvā.eñ shikāyat kyuuñ na likh bhejūñ
ināyat kī nazar mujh par karam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ye masjid hai ye mai-ḳhāna ta.ajjub is par aatā hai
janāb-e-shaiḳh kā naqsh-e-qadam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tujhe navvāb bhī kahte haiñ shā.ir bhī samajhte haiñ
zamāne meñ tirā 'sā.el' bharam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
Top Urdushayar.com