haq-o-nāhaq jalānā ho kisī ko to jalā denā
koī ro.e tumhāre sāmne tum muskurā denā
taraddud barq-rezoñ meñ tumheñ karne kī kyā hājat
tumheñ kaafī hai hañstā dekh lenā muskurā denā
diloñ par bijliyāñ girne kī sūrat gar koī pūchhe
to maiñ kah duuñ tumhārā dekh lenā muskurā denā
huī bijlī se kis din naql andāz-e-sitamgārī
tumhārī tarah sīkhā laakh us ne muskurā denā
sitamgārī kī tālīmeñ unheñ dī haiñ ye kah kah kar
ki rotā jis kisī ko dekh lenā muskurā denā
takalluf-bar-taraf kyuuñ phuul le kar aao turbat par
magar jab fātiha ko haath uThānā muskurā denā
na kyuuñ ham inqilāb-e-dahr ko māneñ agar dekheñ
guloñ kā naala karnā bulbuloñ kā muskurā denā
na jaanā nā-tavānī par ki ab bhī sa.ī-e-nāḳhun se
dikhā sakte haiñ ham zaḳhm-e-kuhan kā muskurā denā
tumhāre naam meñ kyā za.afarāñ kī shāḳh hai 'sā.il'
ki jo suntā hai is ko us ko sun kar muskurā denā