garebāñ se tire kis ne nikālā sub.h-e-ḳhandāñ ko
kiyā kis ne nihāñ dāman kī kaliyoñ se gulistāñ ko
uḌāyā chuTkiyoñ meñ mere zarre ne bayābāñ ko
mire qatre ne paanī kar diyā har mauj-e-tūfāñ ko
mirī kashtī bhañvar se khelne kā shauq rakhtī hai
ye kis ne kar diyā ḳhāmosh yārab mauj-e-tūfāñ ko
ye kyā naġhma thā chheḌā jo yakāyak qalb-e-muztar ne
ki merī nai ne raqsāñ kar diyā saare gulistāñ ko
maiñ huuñ vo qatra-e-shabnam ki chamkā tere partav se
lagī haiñ khīñchne kirneñ mirī mehr-e-daraḳhshāñ ko
mire zauq-e-fanā par zindagī hai ḳhizr kī qurbāñ
mire talḳhāna-e-ġham meñ Dubo do āb-e-haivāñ ko
kālīm-e-tūr-e-ma.anī huuñ yad-e-baizā hai merā dil
munavvar kar diyā jis ne mire chāk-e-garebāñ ko