muddat huī hai mad.h-e-hasīnāñ kiye hue
nūr-e-suḳhan se dil ko charāġhāñ kiye hue
arsa huā hai vasf-e-bahār-e-jamāl se
rū-e-varaq ko rashk-e-gulistāñ kiye hue
barsoñ hue haiñ tazkira-e-soz-e-ishq se
bazm-e-suḳhanvarī ko daraḳhshāñ kiye hue
aatā hai kis shikoh se vo rashk-e-āftāb
zulmat-kade diloñ ke charāġhāñ kiye hue
jaatā huuñ kū-e-yār ko dekh ai ghaTā mujhe
barpā hujūm-e-ashk se tūfāñ kiye hue
baiThe haiñ ham tasavvur-e-gesū-e-yār meñ
is zindagī ko ḳhvāb-e-pareshāñ kiye hue
ḳhuuñ kar ke le chalā huuñ dil-o-jāñ ko apne saath
dīdār-e-rū-e-yār kā sāmāñ kiye hue
mar miTiye is adā pe ki kuchh log jal-bujhe
siine meñ soz-e-ishq ko pinhāñ kiye hue
vo nau-bahār-e-husn bhī is raah se gayā
har naqsh-e-pā ko rauza-e-rizvāñ kiye hue