mahtāb nahīñ niklā sitāre nahīñ nikle
dete jo shab-e-ġham meñ sahāre nahīñ nikle
kal raat nihattā koī detā thā sadā.eñ
ham ghar se magar ḳhauf ke maare nahīñ nikle
kyā chhoḌ ke bastī ko gayā tū ki tire ba.ad
phir ghar se tire hijr ke maare nahīñ nikle
baiThe raho kuchh der abhī aur muqābil
armān abhī dil ke hamāre nahīñ nikle
niklī to haiñ saj-dhaj ke tirī yaad kī pariyāñ
ḳhvāboñ ke magar raaj dulāre nahīñ nikle
kab ahl-e-vafā jaan kī baazī nahīñ haare
kab ishq meñ jānoñ ke ḳhasāre nahīñ nikle
andāz koī Dūbne ke sīkhe to ham se
ham Duub ke dariyā ke kināre nahīñ nikle
vo log ki the jin pe bharose hameñ kyā kyā
dekhā to vahī log hamāre nahīñ nikle
ash.ār meñ daftar hai ma.ānī kā bhī 'rahbar'
ham lafzoñ hī ke mahz sahāre nahīñ nikle